Saturday, December 5, 2009

kya kahu main

Aur phir ek aur dard hai, yeh dard kyun nahi jaata. 


Woh bewafai kyun mehsoos hoti hai agar main sab bhool chuki hun aur zindagi me aage bad rahi hun? 


Phir kyun yeh beecheni aur yeh dard ubharta hai?


Kyun woh mujhse baat karne ki koshish karta hai?


Kyun main woh pal aur use juda har sach, har sapna, har gham, har khushi, har mode bhula na pati hun? 


Kyun joh raste pe nahi chalna chahti, phir ussi raste pe khud ko pati hun? 


Kyun har sapna aab pheka sa lagta hai?


Kyun apne aap ko bhula chuki ko un yadoon ko bhulate bhulate?


Rabba mere, mujhe khone na dena, mujhe khone na dena...
iss samundar ki ret si zindagi me, lehro ko mujhe bahane na dena...mujhe bahane na dena...

No comments: